<bgsound loop='infinite' src='music.mp3'></bgsound> What Is Islam...?: HOW TO CELEBRATE MOHARRAM....? (IN HINDI)

Thursday 7 November 2013

HOW TO CELEBRATE MOHARRAM....? (IN HINDI)




Chunki ab Muharram ka mubarak mahina aa gaya hai, is mahine me 2 tarah ke pehlu dekhne me aate hai…

1. to ye ki is mahine me Nawasa e Rasool Sallallahu alahi wasallam Hazrate Imam e Hussain Radiyallahu Anhu ki apne nana jaan ke deen ke khatir jo kurbani di uski yaad me hum mefil e zikre hussain aur khandan e ahle bait ko yaad karte hai, unki shahadat ko yaad karte huwe jalse aur mehfile munaqid karte hai taki hum ye jaan sake ki ye islam sirf yoonhi hum tak nahi pahucha balke hamare buzurgan e deen ki kurbanio aur khoon behne se hum tak pahucha hai, aur hum us kurbanio ko yaad karke apne murda ya siyah dilo me jaan bhar sake. Sabile (yani sharbat) ka intezam karte  hai taki ye dikha sake ki pani ko rokne ka kaam ye yazeedio ka hai, aur hamara kaam tou pyaso ko pani pilana hai


2. Magar dusri taraf afsos ke saath kehna padta hai ki is mahine ki 9vi aur 10vi tou hadd ho jati hai ki kuch jahil 


log taziye ko shaher bhar me ghuma kar khoob naach-gaan karte hai, jahil log apne hi badan par maar kar khud ko zakhmi karke apni jano par zulm karte hai! matam karte hai, use dekhne ke liye aurate bhi make-up wagairah banaw singhar kar nikal padti hai. ye sare kaam na-jaiz aur haram aur jahnnam me le jane wale amal hai. aur isme NAMAZ jaisi azim ibadat ka chhut jane ka bhi koi gham nahi hota, ma’azALLAH.

Syede Aalam Sal'lal'laho Alehi Wa'alehi Wasal'lam Ne Farmaya ..
 Jo Gireebaan Phaarey ,, Chehra Peetey ,, Aur Jahilat Ki Pukaar Pukaarey Wo Hum Main Se Nahi - ' 
[Sunan-e-Trimizi :: Kitaab Ul Janaiz :: Hadees :: 1001 :: Jild :: 2 :: Page :: 303]



SOME POINTS TO BE NOTED...................................................................................
Is hadees se woh matam karne wale dars haasil kare, jisme mere aaqa (Sallallahu alahi wasallam) ne farma diya ki aise log ham me se nahi!!

sochne wali baat hai ki agar tum us din chikho pukar karte ho, gireban pharte ho, chehra pitate ho aur agar tum ye sochte ho ki is kaam se Hazrate Hussain khush honge tou ye jehalat hai.

Hazrate Hussain ko mere aaqa se aur apne nana-jaan se behad muhabbat hai, aur apne nana-jaan ke deen ki khatir tou aap ne shahadat ka jam piya hai! tou bhala hazrate hussain apne nana-jaan ke kaul khilaf hargiz na jayenge.

Jab apke nana-jaan ne farmay diya ki aisa karne wala hum me se nahi tou chahe koi kitna bhi chire ya phare ya chikho pukar kare us se aap(hazrate imame Husain) qatai razi nahi ho sakte.
aye apne aap ko hussaini kehne walo aaj muharram me tum wahi kaam kar rahe ho jho yazeed kiya karta tha, balke muharram me kya aam dino me bhi wahi kaam kiya jata hai jho yazeed kiya karta tha,jiske khilaf us jannat ke nawjawano ke sardar Hazrate Hussain ne jang ki thi.

yazeed apne darbaar me naach-gaan ki mehfil lagata tha, aurato ko jama karta tha, sharab noshi karta tha, logo par zulm o sitam dhata tha, darhi mundwata tha, sunnat e rasool kiya hai woh bhul chuka tha, yani ki puri tarah fasik ho chuka tha, woh saltanat ka badshah hone ke kabil raha hi na tha,

* Tab ja ke Sayyiduna Imam e Hussain ne uske khilaf jang ka elan kiya!

agar Imam e Hussain se muhbbat rakhte ho aur hussaini daawa karte ho to hume is kaam ko chhod dena hoga, tabhi hum asal me Nana ke us Nawase ko razi kar sakenge warna zillat o rusawai ke siwa kuch nahi.
Ye kaam karne wale jahil aur deeni ilm se khali aur aawara log hote hai, aise kaam karne walo ko hargiz SUNNI na samje,

 agar woh sunni hote tou mere aaqa AALA HAZRAT ke farman ko bhi woh mante, AALA HAZRAT aisi bid’at ke hammesha khilaf rahe hai aur aap ne apni kitab fatawa e razwiyyah aur ehkam e shari’at me in kaamo ka khub radd kiya hai aur sunnio ko bhi is se hamesh door rehne ki hedayat ki.

FATWA FOR SEEKING MANNAT FROM TAZIYA..............................................................................
   
* Kisi ne agar 'Taaziye'par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai.
[Fatawa Razawiya, 24/501]

No comments:

Post a Comment