Niyat ka bayan
1. Musalman ka ibadat ki niyat se
subah sadiq se le ker suraj doobne tak apne
aap ko jan boojh ker khane peene aur jima(sex) se baaz rakhna, aurat ka
haiz o nifas se khali hona shart hai
Fatwae hindiya, vol 1, pg 194, b.s vol 5 pg no 966
2. Jis tarah aur jagah bataya gaya ki
niyat dil ke irade ko kehte hai, zaban se kehna shart nahi,roze me bi wahi
murad hai, magar zaban se keh lena mustahab hai,
3. Namaz padhte me roza ki niyat ki,
to niyat sahih hai.
Chand dekhne ka bayan
Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki
roza na rakho, jab tak chand na dekh lo, aur iftar na karo jb tk chand na dekh
lo, aur agar asman pe badal ho to miqdaar poori kar lo, aur agar shabaan ki 29
ko asman saaf ni hai, to 30 din poore ker lo.
b.s vol 5,pg no 973
Ek jagah chand hua, to wo sirff
wahi ke lie nahi,balki tamam jahan ke lie hai, magar dusri jagah ke lie uska
hikm is waqt hai, ki unke mazdeek us din tareekh me, chand hi\ona sharai suboot
se hasil ho jae, yaani dekhne ki gawahi, ya qazi ke hukm ki shahadat guzre, ya
muttaid jamaete waha se aaker khabar de, ki fala jagah chand hua haiaur waha
logo ne roza rakha ya eid ki hai
b.s vol 5,pg no 979
taar ya telephone se tasdeeq sabit
nahi ho sakti, na bazari afwqahoo se na jantario ya akhbaro me chapa honekoi
suboot hai, aaj kal aam taur pe dekha jata hai ki 29 ramzan ko bohot zyada
taadad me ek jagah se dusri jagah taar bheje jaate hai,ki chand hua ya nahi,
agar kahi se taar aa gaya, bas lo id aa gai, ye mehez na jaez o haram hai,
b.s vol 5,pg no 980
chand dekh ker uski taraf ungli se
ishara nkarne makrooh hai, agar che dusre ko dekhne batane ke lie hi
b.s vol 5,pg no 980
Chand
ki untees tareekh ko agar gard o gubar ho, ya asmaan saaf na ho to ramzan ke
chand ka suboot ek aaqil balig mastoor ya aadil shaksh se ho jata hai. Baqi tamam
maheeno ke lie 2 aadil mard ya ek aadil mard wa 2 aadil aurto ki shahadat se
chand ka suboot hoga, aur agar asman saaf ho to jab tak bohot se log shahadat
na de,chand ka suboot nahi ho sakta, magar jb ki dusre shaher ya kisis buland
jagah s chand dekha bayan kare to ek aadil ka qaul bi ramzan ka chand qubool kr
lia jaega.
Kin cheezo se roza nahi toot ta hai
Bhool
ker khane peene, jima kne ya tel surma lagane, khushboo sunghne, kaan me paani
chale jane, kaan khujlane, ehtelam hone, muh me jahu hua thook nigalne, halaq
me gubar, dhua makhi chale jane se roza nahi toot ta.
Huzoor
aqdas s.a.w farmate hai ki jis roza dar ne bhul ker khaya piya, wo apne roza ko
poora kare, use Allah ne khilaya aur pilaya hai,
Sahih
muslim, b.s 981
Kisi
roza daar ko un af;’aal me dekhe to yaad dilana wajib hai, yaad na dilaya to gunehgar hoga, magar jab
roza dar bohot kamzor ho, ki yaads dilaega to wo khana chod dega, aur kamzori
itni badh jaegi, ki roza rakhna dushwar ho jaega, aur khalega to troza bhi achi
tarah poora ker lega, aur dusri ibadat e bhi ba khoobi ada ker leha,to us sorat
me yaad na dilana behtar hai
981
Bhool
ke Makhi nigal gaya to roza na gaya, aur jaan boojh ke nigli to roza jata raha
Til
ya til ke barabar koi cheez chabai aur thook ke saath halaq ke saath halaq se
utar gai to roza na gaya, magar jab kius ka maza halaq me mehsoos hota ho to
roza jata raha, 984
Chaupae
ya murde se jima (sex) kiya, aur inzaal ho gaya, to roza jata raha
Janwar
ka bosa liya ya us ki farj ko chua to roza na gaya, agar che inzaal ho gaya
ho,984
Ehtelam
(night fall) se roza na tootega
Kin cheezo se roza toot jata hai
Kaan,
naak me dawa ya tel dalne, jaan boojh ker muh bhar qae karne, kulli karte waqt
halaq me pani utar jane, raat ke shubah (shak) me tuloo subah sadiq ke baad
sehri kha lene, guroob e aftaab se qabl galti se iftar ker lene se roza toot
jata hai, aur sirf qaza lazim hoti hai.
·
Hukka, sigaar, cigarette,
peene se roza jata rehta hai
·
Dote me pani pi liya,ya
kuch kha liya, yam uh khula tja to pani ka qatra, ya oola, halaq me chala gaya,
to roza jata raha,
·
Dusre ka thook nigal gaya
ya apna hi thook hathj per le ker nigal gaya to roza jata raha,
·
Aansu muh me chala gaya,
agar qatra 2 qatra hai to roza na gaya, aur zyada tha ki uski namkeeni poore
muh me mehsoos hui to jata raha, paseene ka bhi yahi hukm hai
·
Ramzan me bila uzr jo
shaksh aelanaiya taur per qasdan khae to hukm hai use qaqtl kiya jae, b.s 988
Roze ke
makroohat
Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki jo buri kehna aur us per
amal karna na chode, to Allah taala ko uski kuch hajat nahi, ki usne khana
peena chod diya hai.
Sahih bukhari, kitab us saum,hadees no 1903, vol 1, page 628
Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki roza uska name nahi ki
khane peene se baaz rehna ho,roza to ye hai ke lague aur behuda baato se bacha
jae
Al mustadrak al hakim, hadees 1611, vol 2, pg 64
Jhoot, chugli,geebat, gali dena, behuda baat, kisi ko
takleef dena,in ki wajah se roze me karahat aati hai,996
Roze dar ko bila uzr kisi cheez ka chabana ya ya chakhna
makrooh hai.aur chakhne se murad ye hai ki zuban per rakh ker maza hasil ker ke
thook de, use halaq me kuch jane na pae
Koi chiz khareedi, aur chakhna zuroori hai ki agar na
chakhega to nuqsan hoga, to chakh sakta hai, warna makrooh hai.997
Gulab, ya mushk wagaira sunghna, dhadi much me tel
lagana,makrooh nahi, magar zeenat ki niyat se na ho, 997
Miswak karna makrooh nahi, aur kisi time bhi ker sakta hai,
kuch logo me mash hoor hai ki dopahar ke baad rozedar ko miswak karna makrooh
hai, ye hamare mazhab ke khilaf hai,997
Muh me thook ikhatta ker ke nigal jana beggair roze ke bhi
na pasand hai, aur roza me makrooh,998
Sehri khana aur usme kate (taakheer) kerna mustahab hai,
magar na ki itni takheer ki ki subah ho jane ka shak ho jae,998
Sehri aur
iftar ka bayan
Huzoor aqdas s.a.w
farmate hai ki sehri khao, ke sehri khane me barkat hai, b.s 999
Huzoor aqdas s.a.w
farmate hai ki hamare aur ahle kitabo me farq sehri ka
luqma hai, b.s 999
Huzoor aqdas s.a.w
farmate hai ki Allah aur uske farishte sehri khane wale per
durud bhejte
hai, b.s 1000
Huzoor aqdas s.a.w
farmate hai ki hamesha log khair ke saath rahenge, jab tak iftar me
jaldi
karenge, b.s 1000
Huzoor aqdas s.a.w
farmate hai ki Allah ta;ala ne farmaya, mere bando me mujhe zyada
pyara wo hai
jo iftar me jaldi karta hai, b.s 1001
Huzoor aqdas s.a.w
farmate hai ki jab tum me koi roza iftar kare to khajur ya chuhare se iftra
kare, ki wo barkat hai, aur agar na mile to pani se kare ki wo pak karne wala
hai, b.s 1001
Iftar ki dua Allahumma laka sumto wa ala rizqika aftarto, b.s 1001
Ek riwayat me hai ki
jo roza dar ko pani pilaega, Allah ta,ala use mere hauz se pilaega ki jannat me
dakhil hone tak pyasa na hoga, b.s 1002
B.S= Bahar e shariyat
No comments:
Post a Comment