1-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki ramzan ke akhri shab me is
ummat ki magfirat hoti hai,
Arz ki gai kya wo shab e qadr ki raat hai?
Farmaya: nahi, lekin kam karne wale ko us waqt mazdoori
poori di jati hai, jab wo kaam poora karle
(musnad ahmad bin hambal, vol 3, pg no 144, b.s vol 5 pg no
960
2-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai- jis ne Allah azzawajal ki raza
ke lie ek din ka roza rakha,Allah ta’ala usko jahannam se itna door kar dega,
jaise kauwwa, ki jab bacha tha, us waqt se udta raha yaha tak ki budha ho ker
mara
(musnad ahmad bin hambal, vol 3, pg no 619, b.s vol 5 pg no 960
3-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai Agar kisi ne ek din nafl roza
rakha, aur zameen bhar use sona dia jae, jab bi uska sawab poora na hoga, uska
sawab to qayamat hi ke din milega
(musnad abi yaali, vol 5, pg no 325, b.s vol 5 pg no 960
4-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki roza dar ki dua iftar ke waqt
radd nahi ki jati
Shoab ul eeman, vol 3, pg no. 407, , b.s vol 5 pg no 961
5-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki agar meri bando ko maloom hota
ki ramzan kya cheez hai, to meri ummat yahi tamanna karti, ki poora saal ramzan
hi ho,
Sahih ibn e khuzaima,, vol 3, pg 184, b.s vol 5 pg no 965
6-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki jab ramzan ki pehli raat hoti
hai, Allah azzawajal apni makhlooq ki taraf nazar fermata hai, aur jab Allah
kisi banda ki taraf nazar farmae,to use kabhi azaab na dega, aur har roz 10
lakh ko jahannam se azaad fermata hai,aur jab unteeswi (29th) raat hoti hai to
maheene bhar me jitney azad kie, unke total ke barabar us ek raat me azaad
karta hai, fir jab id ul fitr ki raat aati hgai,farishte khushi manate hai,aur
Allah pak apne nor ki khaaas tajalli fermata hai, farishto se fermata hai, ae
farishto! Us mazdoor kaq kya badla hai, jisne kaam poora ker liya, farishte arz
karte hai, usko poori mazdoori di jae,Allah azzawajal fermata hai. Mai tumhe
gawah karta hu, ki maine un sab ko baksh dia
Kanzul aamal, vol 8, pg no 219, b.s vol 5 pg no 965
7-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai- jis ne Allah azzawajal ki raah me
ek din ka roza rakhe, Allah ta’ala uske
muh ko jahannam se 70 saal ki raah door farma
dega,
Sahih muslim-, b.s vol 5 pg no 965
8-Huzoor aqdas s.a.w farmate hai ki har chhez ki zakaat hai, aur
badan ki zakat roza hai,aur roza aadha sabr hai
Sunan ibn e majja, vol 2,pg 346, b.s vol 5 pg no 963
No comments:
Post a Comment