<bgsound loop='infinite' src='music.mp3'></bgsound> What Is Islam...?: AMMA BHAI KAB MAREGA.....?

Thursday, 30 June 2016

AMMA BHAI KAB MAREGA.....?


“AMMA BHAI KAB MAREGA”


Yeh miyan biwi aur teen baccho ki kahani hai jo jaise taise zindagi Guzar rahe the... Jo jama punji thi woh ghar k sarparast k ilaaj par lag chuki thi... magar woh ab bhi char payi se laga hua tha... Akhir ussi halat me ek din baccho ko  yateem kar gaya... Riwaj k mutabiq teen roz tak pados se khana ata raha... Chauthe roz bhi woh musibat ka mara ghar khane ka intezaar kar raha tha magar log apne apne kam dhandho mein lag chuke the... kisi ne bhi us ghar k taraf dhyan nahi dia... Bacche bar bar bahar nikal kar samne wale safed makaan ki chimey se nikalne wale dhue ko dekhte aur samajhte k un k lie khana tayar ho raha hai... jab bhi kadmon ki chap ati unhe lagta k koi khane ki thali le kar aa raha hai... par kisi ne bhi un k darwaze par dastak na di... Maa to fir maa hai usne ghar se kuch sukhe roti k tukde dhund nikale.. woh khila kar baccho ko behla fusla kar sula dia.. agle din fir
bhuk samne khadi thi... ghar me tha bhi kya jisse becha jata... fir bhi kafi der ki talaash k bad do char chize nikal ayi jise kabadi k yahan bech kar do char waqt k khane ka intezam ho gaya... jab yeh paise bhi khatm ho gaye to fir jaan k lale pad gaye... Bhuk se nidhal baccho ka chehra ma se dekha nahi gaya... sathve din beva maa khud ko badi si chadar me lapet kar mohalle ki rashan ki dukan par ja khadi hui.. Dukandar doosre grahakon se farig ho kar is ki taraf mutawajje hua.. is ne udhar par kuch rashan manga to dukan dar ne na sirf inkar kia balke do char baatein bhi suna di.. usse khali hath ghar lautna pada... ek to baap ki judaai ka sadma upar se musalsal faake... aath sala bete ki himmat jawab de gai.. aur woh bukhar me mubtila ho kar char pai pe pad gaya... Dawa daru kahan se ho khane ko luqma nahi tha..charo ghar k ek kone me dab k pade the...Maa bukhar se aag bane bete k sir par pani ki pattiyan rakh rahi thi... panch sala behen apne nanhe munhe hathon se bhai k paon daba rahi thi.. achanak wo uthi ma k paas ayi aur kaan se mu laga kar boli...

"AMMA BHAI KAB MAREGA"

Maa k dil par to khanjar chal gaya.. tadap kar usko sine se laga lia aur pucha tum yeh kya keh rahi ho... Bacchi masumiyat se boli... Han amma bhai marega to khana ayega na... 

Aaj garibo ka yeh haal hai... Please zara to socho... Apne shehar k garibo ka khayal rakho... choti se choti madad bhi un k lie bohot hai... Aur Apne padosiyon ka bhi khayal rakho...


No comments:

Post a Comment