Monday, 21 July 2014

Lip-stick Jaez ya Na-Jaez?




Napaak Aur Haraam Lipstick :

Na-Paak Aur Haraam Lip-Stick Indian Ho Ya Imported Ho Uss Me Khinzeer (Pig) Ki Charbi (Fat) Milayi Jaati Hai.
Ref: [Maahnama Rizwaan (Lucknow), January-1993, Page-58]


Aye Muslim Khatoon!
Haraam Aur Naa-Pak Cheez Jab Jism Me Jaati Hai Toh Dil Ko Sakht, Nigaah Ko Be-Hayaa Aur Zubaan Ko Bebaak Bana Deti Hai. Jaise Aapki Lip-Stick.

Lip Stick Se Apne Labon Ko Rangeen Karne Ka Maqsad Gairon Ke Samne Apni Zeenat Ko Zaahir (Beparda) Karna Hai Aur Ye Haraam Hai.

 Lip-Stick Istemaal Karne Se Labon Ki Qudrati Khubsurati Aur Nazakat Khatm Ho Jati Hai Aur Labon Ka Rang Aahista-Aahista Kala Ho Jata Hai (Na-Paak Bhi Hai).

Lip-Stick Khinzeer (Pig) Ki Charbi Se Banti Hai Aur Sirf Khinzeer (Pig) Ki Charbi (Fat) Me Ye Baat Hai Ki Ye High Temperature Par Bhi Nahi Pighalti Hai.

Aye Muslim Khatoon! Kya Ab Bhi Lip-Stick Jaisi NaPaak Aur Haraam Cheez Ka Istemaal Karogi?
-> Khoob Sochiye?

ALLAH Ta’ala Ham Sabko Na-Jaa’iz, Na-Paak, Wa Haraam Cheezo Se Mehfooz Farmaye.

(Aameen)

No comments:

Post a Comment