Monday, 4 August 2014

FATEHA Jaiz ya Najaiz ? (in the light of quran and sunnah)


Khatam shareef aur fateha khuani kerna jaiz hai, es ke references:
Fateha perhney k Dalail: ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ quran-e-kareem main farmata hai:"Kis ney haram ki ALLAH ki wo zeenat jo es ney apny bandon k liay nikali aur wo paak rizq".
(Sura Aaraf, Verse:32)


Hazrat Abu Hureira ﮧﻨﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ kuch khermy Huzoor ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻki khidmat main lai aur arz ki k in per
dua perh dijiyay, Huzoor ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ﻢﻠﺳﻭ ney inko milaya aur dua-e- berkat ki.
(Mishkaat Shareef, Page:544)



 -Huzoor ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ jub bhi khaney sey farigh hoty tou ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ ki humd bayan karty aur aur jis ney khana khilaya hota es k haq main dua fermaty.
(Sahi Bukhari, V:2, Page:820) 
Lehaza fateha main bhi 2 hi cheezain maujood hoti hain, aik jis ney khilaya us k haq main dua ki jai dosra yeh k
ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ ki humd bayan ki jai. ﺍﺮﻴﺧ ﻪﻠﻟﺍ ﻙﺍﺰﺟ 

agar koi kahe ke mare huay ko esal-e-sawab nahi ker sakty, un ko yeh hawaly dein: -Hazoor ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ki khaidmat main aik sahabi jinla name hazrat-esaad (R) hazir huay aur fermaya, meri maa ka achanak
inteqal ho gaya hai, mai unke lie kya karo? kya main koi sadqa karon tou eska sawab unhain pohanchy ga?, Hazoor ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ney fermaya haan, aur paani ka intezam karne ke lie kaha! phir aik kuwaan
khudwaya gaya aur us per baqaida
likhwaya gaya k ye kuwa saad ki maa ke lie hai.
(Sunan Abi Daood, Hadees:2875)


-Hazoor ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ney Hajj k dooran, aik ounth aur aik cow ko 7 musalmano ki taraf sey zibahkerwaya.
(Sahi Muslim, Hadees:3026) 


"Huzoor ﻢﻠﺳﻭ ﮧﯿﻠﻋ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻠﺻ ney aik mertaba qurbani ki aur goosht ko samney rakh ker yeh dua fermai, Aey ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ yeh qurbani meri ummat ki taraf sey hai,jo fout ho chuky aur jo aany waly hain".
(Sunan Abi Daood, V:2, Page:30)


 CHALLENGE- Ab khamkha main yeh aetraz kerna k zinda ko esal ker sakty hain MURDA ko nahi es per bhi daleelain dey di hain, ab mazeed jo bhi aetraaz kary ga apni bad mazhabiat hi zahir kary ga, lehaza jin k dil per mohr lag jati hain wo kabhi bhi haq baat tasleem nahi karain gey, chahe unko QURAN k hawaly do ya hadees k, yeh hum sey tou hawale mangty rehte hain, inse aap bhi kahe k aap k paas koi aisa hawala hai jis main likha ho k esal-e-sawab kerna najaiz hai, ya phir yeh likha ho k esal-e-sawab murda ko nahi kia ja sakta tou peshker dein, hum bhi dekhain aisi kon see riwayaat hain jin ko yeh daleel banarahy hain...

1 comment:

  1. Sara kuch jhoot hai ismy koi b hadees nhi match ho rhi

    ReplyDelete